gladiola

meri ki alhad pahadiyon ke chabutaron par
hari hari narm lambi lambi ghas se sar-kashida shakhen

hatheliyon par sajae sindhuri gul-ada se
faza-e-khush-rang mein lahak kar

har ek rahraw ke daman-e-dil ko khinchti hain
saba ki sargoshiyan musallam

ye kaise gul hain ki in ki khushbu se chaunkta bhi nahin hai koi
magar unhen dekh kar kai tez-gam rahraw

sambhal ke chalne mein aafiyat ka sahaara le kar
khayal ki wadiyon mein aise utarne lagte hain jaise koi utarta ho pari ko shishe mein khamushi se

kisi ke rangon ki aanch hai aur kisi ke wijdan ka tahayyur
ye iztirar-e-nigah bhi hai ye iztirab-e-qulub hai

ye bostan-e-jamal ke khush-khiram rahraw
hujum-e-rang-e-khayal mein rah se bhatak kar

abad ki manzil ko dam-ba-dam dhundte rahenge
ye ek saat ka rang jis mein surur bhi hai wuquf bhi hai

yahi faraaz-e-abad ke raston ka raazdan hai
ye rang aankhon ko khira kar de to kaun dekhe

wara-e-had-e-nigah kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close