raat ka waqt hai koi aahat na kar baat jo bhi ho man mein wo man mein hi rakh bol dene se taklif ghatti nahin balki bat jati hai aur badh jati hai raat ke waqt to chup hi rahna munasib hai kahna nahin ek bhi baat mujh par jo bhaari pade koi bhi baat jo mujh ko sone na de aur sun baat sun mere sun lene se ye pareshaniyan hal na hongi kabhi main tera ek mamuli aashiq hi hun chaaragar bhi nahin koi aisi pareshani ho jis ka hal mere sine se lagte hi mil jaega to hi zahmat utha mujh ko bas wo bata jis mein jismon ki tasir kaam aa sake is barahna badan par badan ki hi tadbir kaam aa sake aur ye mumkin na ho to wahi baat hai raat ka waqt hai