bol ai shair ai naghma-gar bechega fan ko bechega bol apne man ko bechega apne shah-pare bechega apni tahriren bechega ye apni barahna-guftari ye shola-bayani bechega yani jo tere lafzon mein hai khanjar ki rawani bechega dhalta hai jo tere khwabon mein wo rang-e-bahaaran bechega palta hai jo tere sine mein wo khunin tufan bechega jo parda-e-mustaqbil mein hain kya wo tanwiren bechega jin insanon ko jagata hai un ki taqdiren bechega fan ki tasir ko bechega bechega zamir ko bechega bol ai shair ai naghma-gar bechega hum nukta-dan-e-fikr-o-nazar hum qadr-shanas-e-ilm-o-hunar teri khidmat ka sila denge teri mehnat ka samar denge jiwan ki raaton mein zar-kar ujala kar denge chandi ke khanakte sikkon se hum teri jeben bhar denge bol ai shair kya kahta hai tu kis duniya mein rahta hai ai naghma-gar in sukhe hathon se fan ka aiwan sajaega kyunkar faqon ke andhere mein rah kar shah-kar banaega kyunkar iflas ke aalam mein kyun-kar tu rangin ghazlen likkhega roti ko tarasta rahta hai kya kha kar nazmen likhega jina ho jo is duniya mein to phir bazar mein aa dukan laga kuchh dam-o-diram ki baaten kar bikne wala saman saja han bech de apni jurat ko aa jaegi chehre par surkhi han bech qalam ki taqat ko warna ye tujhe le dubegi is ek qalam ka zikr hi kya insan kharide hain hum ne mazhab ke dam chukae hain iman kharide hain hum ne har shai nilam pe chadhti hai wo dharti ho ya auj-e-falak har chiz yahan bik jati hai mitti se le kar mulk talak la tu bhi apna mal dikha dekhen tere palle mein kya hai kuchh khuddari kuchh bebaki kuchh haq-goi khair achchha hai jaldi se ye sab kuchh bech bhi de dam in ka girne wala hai phir koi na in ko puchhega hai waqt abhi kar ke sauda bech aune-paune ye kuda mauqa hai yahi raushan kar le mustaqbil apne bachchon ka ai ahmaq insan hosh mein aa kuchh aql-o-khirad ki baaten kar be-faiz na apni mehnat kar be-kar na apni raaten kar kuchh dhoka de kuchh ghaten kar ai naghma-gar bechega bechega khud ko bechega hum tere kharidar aae hain bol apni qimat kya lega