ai hazrat-e-mittal ye karam hai ki sitam hai kyun lutf nazar aap ka na-chiz pe kam hai wallah ki hain aap bhi ek zinda ajaib sahra mein azan de ke kahan ho gae ghaeb mana ki mere shahar se dilli hai bahut dur jaise ki rah-o-rasm-e-wafa se dil-e-makhmur ye baat kahe kaun jangal mein agar bel paka hai to chakhe kaun sahra mein jo gunji hai wo aawaz sune kaun jab tak nahin pahunche dil-e-sahib nazar un tak shorida-saran tak aawaz-e-azan kya gul-bang-e-fughan kya main kan mein ungli diye baitha to nahin hun bahra to nahin hun go hath mein jumbish nahin aankhon mein to dam hai phir ghaib sabab kyun is banda-e-nachiz pe takhfif-e-karam hai ye bhi nahin kahta ki mujhe muft hi bhejen taufiq ba-andaza-e-himmat ka hun qail main aap ki derina sharafat ka hun qail har haal mein raazi-ba-raza hun hadiya bhi ada karne se inkar nahin hai aapas mein takalluf ki diwar nahin hai phir mujh pe taghaful ki nazar kyun hai jafa kyun ye hazrat-e-'makhmur'-saidi ki ada hai