jal bujhe aankhon mein khwabon ke mahakte paikar ab kahin koi sharara hai na shoala na dhuan kho gae waqt ki pathrili guzargahon par chand be-nam tamannaon ke qadmon ke nishan ek parchhain hun jis mein na koi rang na rup sirf ehsas ho tum jis ka koi nam nahin main bhi pa-basta hun haalat ki zanjiron mein tum pe bhi ahd-e-faramoshi ka ilzam nahin mere ehsas pe bhi barf jami hai jaise aanch deta nahin jazbaat ko koi mausam dhadkanen aaj tumhaari bhi hain be-lafz-o-bayan ab barasti nahin dildar nazar se shabnam main bhi kuchh surat-e-haalat se bargashta hun tum bhi ho apne khayalat pe pachhtai hui main ne bhi jaan liya hai ki haqiqat kya hai tum bhi khwabon se nazar aati ho uktai hui jab na main main hun na tum tum ho to phir aankhon mein ye giranbar-e-ehsas-e-shanasai kyun bar ho jaan pe to paiman-e-rifaqat kaisa bojh hun dil pe to jazbon ki pazirai kyun mujh ko yun pyar ki ruswaiyan manzur nahin tum bhi is rishte pe ilzam na aane dena meri sanson mein na mahkegi tumhaari khushbu tum bhi honton pe mera nam na aane dena