aasman baadal ka pahne khirqa-e-derina hai kuchh mukaddar sa jabin-e-mah ka aaina hai chandni phiki hai is nazzara-e-khamosh mein subh-e-sadiq so rahi hai raat ki aaghosh mein kis qadar ashjar ki hairat-faza hai khamushi barbat-e-qudrat ki dhimi si nawa hai khamushi baatin-e-har-zarra-e-alim sarapa dard hai aur khamoshi lab-e-hasti pe aah-e-sard hai aah jaulan-gah-e-alam-gir yani wo hisar dosh par apne uthae saikdon sadiyon ka bar zindagi se tha kabhi mamur ab sunsan hai ye khamoshi us ke hangamon ka goristan hai apne sukkan-e-kuhan ki khak ka dil-dada hai koh ke sar par misal-e-pasban istada hai abr ke rauzan se wo baala-e-baam-e-asman nazir-e-alam hai najm-e-sabz-fam-e-asman khak-bazi wusat-e-duniya ka hai manzar use dastan nakaami-e-insan ki hai azbar use hai azal se ye musafir su-e-manzil ja raha aasman se inqilabon ka tamasha dekhta go sukun mumkin nahin aalam mein akhtar ke liye fatiha-khwani ko ye thahra hai dam bhar ke liye rang-o-ab-e-zinagi se gul-ba-daman hai zamin saikdon khun-gashta tahzibon ka madfan hai zamin khwab-gah shahon ki hai ye manzil-e-hasrat-faza dida-e-ibrat khiraj-e-ashk-e-gul-gun kar ada hai to goristan magar ye khak-e-gardun-paya hai aah ek bargashta qismat qaum ka sarmaya hai maqbaron ki shan hairat-afrin hai is qadar jumbish-e-mizhgan se hai chashm-e-tamasha ko hazar kaifiyat aisi hai nakaami ki is taswir mein jo utar sakti nahin aaina-e-tahrir mein sote hain khamosh aabaadi ke hangamon se dur muztarib rakhti thi jin ko aarzu-e-na-subur qabr ki zulmat mein hai in aaftabon ki chamak jin ke darwazon pe rahta hai jabin-gustar falak kya yahi hai in shahanshahon ki azmat ka maal jin ki tadbir-e-jahanbani se darta tha zawal rob-e-faghfuri ho duniya mein ki shan-e-qaisari tal nahin sakti ghanim-e-maut ki yurish kabhi baadshahon ki bhi kisht-e-umr ka hasil hai gor jada-e-azmat ki goya aakhiri manzil hai gor shorish-e-bazm-e-tarab kya ud ki taqrir kya dardmandan-e-jahan ka nala-e-shab-gir kya arsa-e-paikar mein hangama-e-shamshir kya khun ko garmane wala nara-e-takbir kya ab koi aawaz soton ko jaga sakti nahin sina-e-viran mein jaan-e-rafta aa sakti nahin ruh-e-musht-e-khak mein zahmat-kash-e-bedad hai kucha gard-e-nai hua jis dam nafas fariyaad hai zindagi insan ki hai manind-e-murgh-e-khush-nawa shakh par baitha koi dam chahchahaya ud gaya aah kya aae riyaz-e-dahr mein hum kya gae zindagi ki shakh se phute khile murjha gae maut har shah o gada ke khwab ki tabir hai is sitamgar ka sitam insaf ki taswir hai silsila hasti ka hai ek bahr-e-na-paida-kanar aur is dariya-e-be-payan ki maujen hain mazar ai hawas khun ro ki hai ye zindagi be-e'tibar ye sharare ka tabassum ye khas-e-atish-sawar chand jo surat-gar-e-hasti ka ek ejaz hai pahne simabi qaba mahw-e-khiram-e-naz hai charkh-e-be-anjum ki dahshatnak wusat mein magar bekasi is ki koi dekhe zara waqt-e-sahar ek zara sa abr ka tukda hai jo mahtab tha aakhiri aansu tapak jaane mein ho jis ki fana zindagi aqwam ki bhi hai yunhi be-e'tibar rang-ha-e-rafta ki taswir hai un ki bahaar is ziyan-khane mein koi millat-e-gardun-waqar rah nahin sakti abad tak bar-e-dosh-e-rozgar is qadar qaumon ki barbaadi se hai khugar jahan dekhta be-e'tinai se hai ye manzar jahan ek surat par nahin rahta kisi shai ko qarar zauq-e-jiddat se hai tarkib-e-mizaj-e-rozgar hai nagin-e-dahr ki zinat hamesha nam-e-nau madar-e-giti rahi aabastan-e-aqwam-e-nau hai hazaron qafilon se aashna ye rahguzar chashm-e-koh-e-nur ne dekhe hain kitne tajwar misr o babul mit gae baqi nishan tak bhi nahin daftar-e-hasti mein un ki dastan tak bhi nahin aa dabaya mehr-e-iran ko ajal ki sham ne azmat-e-yunan-o-ruma lut li ayyam ne aah muslim bhi zamane se yunhi rukhsat hua aasman se abr-e-azari utha barsa gaya hai rag-e-gul subh ke ashkon se moti ki ladi koi suraj ki kiran shabnam mein hai uljhi hui sina-e-dariya shuaon ke liye gahwara hai kis qadar pyara lab-e-ju mehr ka nazzara hai mahw-e-zinat hai sanobar juebar-e-aina hai ghuncha-e-gul ke liye baad-e-bahaar-e-aina hai nara-zan rahti hai koyal bagh ke kashane mein chashm-e-insan se nihan patton ke uzlat-khane mein aur bulbul mutrib-e-rangin nawa-e-gulsitan jis ke dam se zinda hai goya hawa-e-gulsitan ishq ke hangamon ki udti hui taswir hai khama-e-qudrat ki kaisi shokh ye tahrir hai bagh mein khamosh jalse gulsitan-zadon ke hain wadi-e-kohsar mein nare shaban-zadon ke hain zindagi se ye purana khak-dan mamur hai maut mein bhi zindagani ki tadap mastur hai pattiyan phulon ki girti hain khizan mein is tarah dast-e-tifl-e-khufta se rangin khilaune jis tarah is nashat-abaad mein go aish be-andaza hai ek gham yani gham-e-millat hamesha taza hai dil hamare yaad-e-ahd-e-rafta se khali nahin apne shahon ko ye ummat bhulne wali nahin ashk-bari ke bahane hain ye ujde baam o dar girya-e-paiham se bina hai hamari chashm-e-tar dahr ko dete hain moti dida-e-giryan ke hum aakhiri baadal hain ek guzre hue tufan ke hum hain abhi sad-ha guhar is abr ki aaghosh mein barq abhi baqi hai is ke sina-e-khamosh mein wadi-e-gul khak-e-sahra ko bana sakta hai ye khwab se ummid-e-dahqan ko jaga sakta hai ye ho chuka go qaum ki shan-e-jalali ka zuhur hai magar baqi abhi shan-e-jamali ka zuhur