kabhi ye bhi khwahish pareshan karti hai mujh ko ki main apne bhitar ke main ko nikalun magar mere main ki to surat bahut hi buri hai khabasat ka ambar jis mein nihan hai sarafa se jis ki karahat ayan hai jabin par khatarnak sochon ke jangal uge hain bhayanak iradon ke wahshi chhupe hain nigahon mein jis ki hawasnakiyon ke manazir bhare hain manazir bhi aise ki jin mein zina aise logon ke hamrah karne ko socha gaya hai badan jin ke jinsi bulughat ko pahunche nahin hain ya wo jo bulughat ki sari kashish kho chuke hain ya wo jin se koi muqaddas sa rishta juda hai mere main ki surat buri hai ki dandan darindon ki surat kisi sahme simte kunware badan mein gade hain ki matam-kade mein bhi aankhen kisi jism ki burjiyon par tiki hain ki biwi baghal mein magar zehn mein aur hi koi tan-man khila hai ki pagli bhikaran ke tan aur andhe bhikari ke kashkol par bhi nazar hai buri hai bahut hi buri hai ki dil mein aizza ki amwat ki khwahishen bhi dabi hain kai be-gunah gardanen ungliyon mein phansi hain ki lafz-e-ayaadat mein bimar ki maut ki bhi dua hai buri hai buri hai ki ahbab ki jit par dil dukhi hai ki aulad ki bartari se chubhan hai ki bhai ke raushan jahan se jabin par shikan hai buri hai buri hai ki jo palta hai usi ki nafi hai ki jo pujta hai usi se dagha hai ajab ubad-khabad si main ki zamin hai ki us mein kahin bhi tawazun nahin hai kisi bhi tarah ka tanasub nahin hai jahan chahiye hausla buzdili hai jahan rasti ki zarurat kaji hai jahan chahiye aman ghaarat-gari hai jahan chahiye qurb wan fasla hai jahan sulh-e-kul chahiye garmiyan sardiyan hain agar mere main ki ye surat mere khol ki bahar sath par aa gai to zamana mujhe kya kahega yahi soch kar apni is aarzu ke badan mein tabar bhaunk deta hun aksar magar ye tamanna ki main apne bhitar ke main ko nikalun mere dil mein rah rah ke kyun jagti hai sabab us ka ye to nahin hai ki main apne andar ki shaffaf makruh surat dikha kar zamane ki aankhon mein khud ko bada dekhna chahta hun ya ye ki musalsal sharafat ke natak se tang aa chuka hun ya phir ye ki ab bahari shakl-o-surat mein meri kashish koi baqi nahin hai