meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi zamin ke to sabhi gudde nazar aate hain ab buddhe bahut hi khubsurat naujawan hain chand ke gudde unhin mein se kisi ke ghar meri gudiya bhi jaegi meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi farishte aasmanon se baraati ban ke aaenge sitare raste mein nur ki chadar bichhaenge khushi se jhum kar har hur shahnai bajaegi meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi hasin kirnon se raushan chandni ki palki hogi zamin se aasman tak raushni hi raushni hogi meri gudiya jab apne ghar se rukhsat ho ke jaegi meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi nazar aaegi jab us ko meri pyari si ye gudiya balaen par balaen legi badh kar chand ki budhiya dulhan ko dekh kar dulhe ki qismat jagmagaegi meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi