garmi ke zulm se ye duniya dahak rahi thi pyasi zamin kab se aakash tak rahi thi mausam ko kya hua hai pal mein badal gaya hai lu ban ke chal rahi thi ye to wahi hawa hai dekho chali hawaen chillain saen saen baadal ko sath apne har samt le ke jaen tham tham chale hain baadal dam dam baje hain baadal kholi hai aasman ne baadal ki apni chhagal pani baras raha hai mausam ye hans raha hai barish mein bhigta hai kichad mein phans raha hai baste uthae bachche school ko chale hain kheton ki samt apne dahqan nikal pade hain har samt pani pani nadiyon mein hai rawani panchhi chahak rahe hain khushiyon ki hai nishani garmi ko kha gai hai har samt chha gai hai dil ko lubha gai hai barsat aa gai hai