guftugu ke hath nahin hote magar tatolti rahti hai dar-o-diwar phad deti hai chhat shaq kar deti hai suraj ka sina undel deti hai hiddat-angez lawa khakistar ho jata hai hawa ka jism guftugu pahlu badalti hai aur zamin aasman ki jagah le leti hai raj hans dastanon mein sar chhupa lete hain untniyan dudh dena band kar deti hain aur thuthniyan aasman ki taraf uthae sahra ko bad-duaen dene lagti hain haijaani nind palken ukhedne lagti hai aur kachchi nazmen sar uthane lagti hain guftugu ke panw nahin hote ludhakti phirti hai mari jati hai sanson ki bhagdad mein kafna di jati hai logon ke libas khinch kar kafur ki tez bu lipat jati hain sine ke pinjar se aur nazm adhuri rah jati hai