ye mah-o-sal ki gardish ye meri tanhai ye zindagi ka safar aur ye aabla-pai bahut hasin hai ye manzar magar tumhaare baghair mere wajud pe har dam hai murdani chhai agarche aam hai fitrat ka husn har jaanib mere liye to kashish is mein hai na zebai ye kaenat-o-kawakib ye kahkashan ye shahab zamin ka ye tasalsul falak ki pahnai bulandi koh ki sahra ki be-karan wusat nadi ka shor ho ya bahr ki ho gahrai nasheb-e-koh mein sabze ka makhmalin bistar shafaq ka surkh libaada gulon ki ranai jawar-e-sahn-e-gulistan mein aahuon ka khiram chaman mein shokh anadil ki naghma-arai shah-e-nujum ki aamad ki dil-pazir khabar nasim-e-subh gali kuchon mein suna aai kiran ka phutna mashriq se ba-sahar-hangam sukut-e-shab mein sitaron ki bazm-arai wo mai-kade mein sar-e-sham mai-kashon ka hujum pilae jam wo saqi ne sab ki ban aai hasin raat ki sohbat saba ki sargoshi urus-e-mah chhupi baadalon mein sharmai jahan bhi husn ki jalwa-numaiyan dekhin tumhaari yaad meri jaan be-hisab aai