ye naznin ki jise qasid-e-bahaar kahen jawan hasina ki fitrat ka shahkar kahin payam-e-amad-e-fasl-e-bahaar deti hai junun-nasib dilon ki duaen leti hai ise chaman ke har ek phul se mohabbat hai ise bahaar ki ranaiyon se ulfat hai gulon mein phirti hai yun jaise titari koi chaman ki sair kare ya hasin pari koi jo phul chunte hue naghme gungunati hai ye shayad apni jawani ke git gati hai shabab ne jo ise tamkanat sikha di hai gharib hi sahi phulon ki shahzadi hai jahan walon ka husn-e-suluk dekha hai ise zamane ki be-rahmiyon se shikwa hai guzar rahe hain shab-o-roz kitne bhaari se shabab kat rahi hai hazar khwari se khudi ka dars hai afsana-e-hayat is ka jawab paida karegi na kaenat is ka ise zamane ki nairangiyon ka hosh nahin meri nazar mein ye dewi hai gul-farosh nahin sitam-zarifi-e-fitrat ko aaj sharmaun jo haar gundhe hain aaj usi ko pahnaun