gulabi sham ka aansu

gulabi sham ki dastak
suni tum ne

ajab saat mein tum ne
dil mein mere

yaad ka ek bij phenka tha
ki us se phutne wale

tumhaare aur mere darmiyan
kuchh hamila lamhe

tumhein malum kab hoga
ki wo takmil ki dahliz pe aate hue

kis zabt se guzre
baqa ki jang ko haare

wo sab lamhe
kahan kis dard se guzre

kisi ujdi hui ab kokh ki manind
bahut bechain rahte hain

agar mumkin ho to sunna
kisi murda suron ko janm dete saz ki aahat

mujhe hai ilm ki kab waqt hoga aisi baaton ka
magar phir bhi

nigah ek sarsari karna
tumhein bas ye dikhana hai

bahut bechain rakhti hai
talab jab bain karti hai

to padti hai
gulabi sham pe silwat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close