meri khatir jo tu guldasta-e-tar laya hai aashiq-e-zar gharibon ka jigar laya hai aah na-karda-gunah ghuncha ko barbaad kiya toda ghunche ko to bulbul ko bhi nashad kiya wae bedardi ki ghuncha se watan chhut gaya khoya ghunche ko to bulbul ka bhi dil tut gaya le ke guldasta tere ru-ba-ru gar aaya main teri zinat ko ye guldasta nahin laya main mah-ru takhton mein gul husn pe itraata tha aur khatir mein hasinon ko nahin lata tha nazish-e-husn ke mujrim ko pakad laya hun pesh karne ko tere gul ko jakad laya hun