yaum-e-azadi ne yun chhidka fazaon mein gulal gulsitan se bhini bhini khushbuen aane lagin titliyan apne paron par pa ke qabu har taraf sehn-e-gulshan ki rawish par raqs farmane lagin qumriyan mithe suron ke saz le kar aa gain bulbulen mil-jul ke aazadi ke gun gane lagin gul se apni nisbat-e-derina ki kha kar qasam ahl-e-dil ko ishq ke andaz samjhane lagin subh-dam baad-e-saba ki shokhiyan kaam aa gain lala-o-gul ko baghal-giri ka mauqa mil gaya dekh kar is dosti ke pur-faza mahaul ko sari kaliyan hans padin sara gulistan khil gaya lekin is din ke liye ai ham-nashino dosto kaisi kaisi be-baha qurbaniyan dena padin khun-e-dil dena pada khun-e-jigar dena pada apne khwabon ki hasin parchhaiyan dena padin aarzu mein teri ai gul-posh shahzadi na puchh kaise aalam-tab sardaron ke sar jate rahe sarzamin-e-hind ko jannat banane ke liye kaise kaise dast-o-bazu ke shajar jate rahe khair ab hum mutmain yun hain ki jaan-e-arzu hum ne kuchh kho bhi diya hai aur kuchh paya bhi hai kaise kaise aql ko de kar dilase jaan-e-jaan ruh ko taskin di hai dil ko samjhaya bhi hai ab yahi koshish hai dil se ai meri arz-e-watan teri peshani pe ab koi shikan aane na pae tu ne pahni hai jo aazadi ki mala shauq se umr-bhar koi kali bhi is ki murjhane na pae apne gulha-e-aqidat pesh karti hun tujhe mukhtasar ye hai mohabbat pesh karti hun tujhe