yahi wo manzil-e-maqsud hai ki jis ke liye bade hi azm se apne safar pe nikle the isi ghadi ki tamanna mein jaane kitne log jo be-khata the magar suliyon pe latke the ye sochte the ki wo din kabhi to aaega tamam hasraten dil ki nikal hi jaengi hamare panw ki ye bediyan ye zanjiren kabhi to mom ki surat pighal hi jaengi kuchh is tarah se badha dil mein zauq-e-azadi ki rafta rafta tamanna jawan hoti gai kuchh is tarah se uthi har taraf se wo aandhi jo uthte uthte khud ek aasman hoti gai nigah ko thi magar mir-e-karwan ki talash nazar jo utthi to dekha ki ek mard-e-faqir khada hai hausla-e-amn-o-ashati le kar na koi khod badan par na hath mein shamshir charagh rah mein us ke amal se jalne lage lo aaj subh-e-shab-e-intizar aa hi gai faza mahakne lagi dil-nawaz phulon se dayar-e-hind mein fasl-e-bahaar aa hi gai