badan ke jharoke mein jitni nigahen lagi hain meri hain koi aur kab sochta hai ki gham-khana-e-'mir' ke us taraf ek hansta mahakta baghicha bhi hai kitni an-chhui kaliyan jawan titliyan ras-bhari jhumti daliyan sondhi mitti ki ham-jins khushbu labaalab si ek baoli jaane kya kuchh magar wo jharoka ki jis ka mere dil se ek wasta hai abhi band hai kaam nazuk hai aafaq ki kar-gah ka