is dafa ke mausam-e-barsat mein ek thandi ghup andheri raat mein ek nannhi bund aankhen michti hichkichati aah thandi khinchti chhod kar baadal ki godi jun chali khud se wo ye guftugu karne lagi ye andheri raat aur lamba safar dekhiye hota hai kya mera hashar ain mumkin hai girun main phul par ye bhi imkan hai girun main dhul par kya khabar tandur mein gir jaun main dekhte hi dekhte mar jaun main aise andeshon ke sang ladti hui bund sahil par bahr ke aa gai thi wahan par ek sipi munh khuli wo usi mein ja giri moti bani