gulzar

wo ek lamha bada muqaddas tha
wo ek lamha ki jis mein

aasman sab aayaton ka wird karte the
sitare hath mein le kar

jahannam ki sulagti aur dahakti aag ke upar
farishte apne apne pankhon ki

bunden jhatakte the
khuda ne ek lamhe ko nigahen mund kar apni

tasallut ki girah ko dhila chhoda tha
nizam-e-azal toda tha

wo ek lamha ki jis mein
gardishon ke par sayyaron ne pahli bar

holiday manaya tha
wo ek lamha ki jis mein tum janm le rahe the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close