gum-shuda log aakhir kahan jate hain sham hote hi panchhi bhi laut aate hain raat aate hi tare nikal aate hain chand dube to wo bhi ubhar aate hain shab dhale aaftabi ziya tut aati hai aur aandhiyan jitni marzi chalen aakhir-e-kar rukti hain jitni bhi kali ghataen daraen magar aasmanon se baadal bhi chhat jate hain gum-shuda log baadal ghata chand taron parindon hawa ke yahan aate hain gum-shuda log phir se kahan aate hain