jo khun sadkon pe bah raha tha jo zulm insan sah raha tha qalam ke mazdur likh rahe the qalam ke mazdur likh rahe the ki mehnaton ke muawze mein azim mehnat-kashon ke meadon mein sirf faqe bhare hue hain aur un ke ajsam-e-ahanin par faqat libas-e-barahnagi hai aur un ke bachchon ki tarbiyat ke liye madaris khule hue hain jahaalat-o-jurm ke madaris aur un ko rahne ko tang tirchhe tawil footpath har sadak par bichhe hue hain aur un ke amraaz dur karne ko gorkan mustaid khade hain qalam ke mazdur likh rahe the qalam ke mazdur likh rahe hain aur un ki tahrir-e-tar ka har harf muntaqim waqt padh raha hai