saat-e-khud-gari khud-shanasi rifaqat mohabbat ke wo jagte qafile jo mah-o-sal ki gard mein at gae the ab bhi ek gum-shuda raste par rawan hain ham-nawai ke wo raat-din waqt ki gahri andhi guphaon se uth kar mere atraf yun jama hone lage hain jaise mujhe mujh se meri be-hisi ka gila kar rahe hon puchhte hon ki kya mausamon ke atal daere soz-e-dil ki bhi zanjir-e-pa hain umr-e-rafta ke kis bite lamhe se puchhun wo bedar raaten pur-asrar shamen guhar-bar subhen wo manus jazbon se sarshaar baaten jo pas-e-parda-e-dard-e-dil ab bhi soi nahin hain waqt ke raste par agar khuli aankh ka khwab thin wahima thin to dil se ufuq tak ye jalti hui surkh tahrir kyun hai