radif aur qafiye

hansi kal se mujhe is baat par hai aa rahi khalu
ki khala kah rahi thin aap ka hai qafiya aalu

usi din se bahut darne laga hun aap se khala
jab ammi ne bataya aap ka hai qafiya bhaala

agar puchhe koi kya qafiya hai aap ka phuppi
to fauran samne rakh dunga la kar tel ki kuppi

agar shair kahen be-qafiya hai lafz-e-bahnoi
mere bahnoi sar par shairon ke marna doi

agar puchhe koi kya qafiya hai aap ka dadi
to malmal phenk dena odh lena sar pe tum khadi

bahut hai ghumne ka shauq tum ko ai bade bhayya
na maro to bata dun hai tumhaara qafiya pahiya

tum apna qafiya khud ban gai ho ai meri aapa
nazar lag jaegi tum sar pe rakh kar ho ho tapa

tumhaara qafiya koi nahin hai ai nahif ammi
yahi achchha hai tum chupke se ban jao radif ammi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close