guman o yaqin

tumhein guman hai ki zauq-e-yaqin hai wajh-e-jumud
asir-e-qaid-e-tilismat-e-in-o-an tum ho

maqam-e-sidra-o-tuba ki kya khabar tum ko
abhi to chand sitaron ke darmiyan tum ho

ye irtiqa ki tag-o-dau ye jehd-e-fikr-o-amal
guman ke dam se hai in ka wajud kahte ho

muzaharaat-e-jahan par tumhein yaqin kyon hai
yaqin ko tum to bina-e-jumud kahte ho

isi yaqin pe banate ho zindagi ke mahal
isi yaqin ko samajhte ho zehn ki taqsir

yahi yaqin to hai surat-kusha-e-naqsh-e-hayat
isi yaqin se to pani pe khinchte ho lakir

isi yaqin se jo ek khatt-e-mustaqim-e-hayat
zamin pe khinchna chahen to hum hain saudai

tumhin batao ki donon mein kaun afzal hai
hamara zauq-e-yaqin ya tumhaari danai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close