gumbad-numa shaffaf shisha mohaddab bich se ubhra hua gumbad-numa shaffaf shisha jis mein se chizen badi malum hoti hain ye dekho ek chyunti hasht-pa makde ki surat chal rahi hai os ka qatra musaffa hauz ke manind sakin lag raha hai ret ka zarra pahadi ki tarah aflak ko chhuta hua mahsus hota hai ghane pani mein jarsume ki jumbish par guman hota hai jaise sher ne angdai li ho! haala-e-khurd o kalan mein umr bhar chhota bada karne ke chakkar mein bandhi rahti hain nazren ek qubba-dar manzar mein azal se jaanti hain bulbula si putliyon ki sard mehraben jab is gumbad-numa shaffaf shishe se guzar kar ek markaz par shuaen jama hongi samne jo chiz hogi jal uthegi!!