hona sab se bada uljhawa hai shakh-e-sanobar chand ki aas mein jagti hai aur din-bhar sone wale ghar ki dahlizon par aa kar baithte hain aur khwahish-o-khwab ke andeshon mein raat simatte pairahan ki lazzat ban kar rauzan-e-dar se jhankti hai bachche maon ki gardan mein banhen dale sote hain khwab hamari maen hain khwab hamari maen hain aur rah kinare baithe ladke ghar ko jaane wala sab se lamba raste chunte hain shadabi is shahr mein ek din aai thi shadabi har shahr mein ek din aati hai aur har shahr ke ek goshe mein sannate ki chadar tane ek akela ghar sota hai bari bari ek ek aane wala ek na ek din us ghar mein aata hai shadabi us shahr mein ek din aai thi us din shahr-e-panah mein sab se pahla aane wala main tha aur chand saman jhalajhal chehre fanuson ka saut bane the chand akela ghar so ek din har jaane wala us ghar mein jata hai maen apne bachchon ko us ghar mein ja kar janti hain bahnen dhol suhag alap ke roti hain aur bete saz sajae maidanon mein ghode daudate hain khemon mein har raat alaw jalae jate hain aur zakhmi jism ko dagha jata hai aur marne walon ki fihrist banai jati hai khwahish khwab andeshe khauf kabhi na thakne wale payaade hum maidani log so ek din har jaane wala us ghar mein jata hai is ke baad jo hai wo shahr-e-panah mein aane ka pachhtawa hai hona sab se bada uljhawa hai