sipahi aaj bhi koi nahin aaya kisi ne phul hi bheje na basti ke gharon se aashna giton ki aawazen sunai den na parcham koi lahraya sipahi! sham hone aai aur koi nahin aaya fana ki khandaqon ko jaan de kar par kar jaana badi baat jahan jine ki khatir mar rahe hon log us basti mein mar jaana badi baat magar pal bhar ko ye socha to hota tumhaare baad ghar ki muntazir dahliz ko jage hue dil ki nishani kaun dega hawaon se ulajhti raushni ko e'tibar-e-kaamrani kaun dega dar-o-diwar se lipti hui belon ko pani kaun dega