gae baras ki id ka din kya achchha tha chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha faza mein 'keats' ke lahje ki narmahat thi mausam apne rang mein 'faiz' ka misra tha dua ke be-awaz uluhi lamhon mein wo lamha bhi kitna dilkash lamha tha hath utha kar jab aaankhon hi aaankhon mein us ne mujh ko apne rab se manga tha phir mere chehre ko hathon mein le kar kitne pyar se mera matha chuma tha! hawa! kuchh aaj ki shab ka bhi ahwal suna kya wo apni chhat par aaj akela tha? ya koi mere jaisi sath thi aur us ne chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha?