gunah kya hai sawab kyun hai sawab ki lazzaten hain kaisi gunah ka bhaari azab kya hai mujhe to ye bhi khabar nahin hai gunah aakhir gunah kyun hai kahan se phuta hai us ka chashma kisi pahadi se jharna ban kar gira hai niche zamin ke dil par ki jalte honton ka dukh bujhane umad pada hai khud us ki apni hi chhatiyon se ye reg-zaron ki aarzu hai ya phir samundar ki aabru hai jahan se baadal jawani chadhta hai aasmanon ki pani kya hai ye jo pahadon pe jhumta hai sulagte suraj ko chumta hai do-chaar lamhe pahad sine pe jhum lena sulagte suraj ko chum lena gunah kyun hai sawab kya hai!