gunah ke tund-o-tez shoalon se ruh meri bhadak rahi thi hawas ki sunsan wadiyon mein meri jawani bhatak rahi thi meri jawani ke din guzarte the wahshat-alud ishraton mein meri jawani ke mai-kadon mein gunah ki mai chhalak rahi thi mere harim-e-gunah mein ishq dewta ka guzar nahin tha mere fareb-e-wafa ke sahra mein hur-e-ismat bhatak rahi thi mujhe khas-e-na-tawan ke manind zauq-e-isyan baha raha tha gunah ki mauj-e-fitna-saman utha utha kar patak rahi thi shabab ke awwalin dinon mein tabah o afsurda ho chuke the mere gulistan ke phul jin se faza-e-tifli mahak rahi thi gharaz jawani mein ahrman ke tarab ka saman ban gaya main gunah ki aalaishon mein luthda hua ek insan ban gaya main mohabbat aur ab ki teri mohabbat-e-sarmadi ka baada-gusar hun main hawas-parasti ki lazzat-e-be-sabaat se sharmsar hun main meri bahimana khwahishon ne farar ki rah li hai dil se aur un ke badle ek aarzu-e-salim se ham-kanar hun main dalil-e-rah-e-wafa bani hain ziya-e-ulfat ki pak kirnen phir apne firdaus-e-gum-shuda ki talash mein rah-sipar hun main hua hun bedar kanp kar ek muhib khwabon ke silsile se aur ab numud-e-sahar ki khatir sitam-kash-e-intizar hun main bahaar-e-taqdis-e-jawedan ki mujhe phir ek bar aarzu hai phir ek pakiza zindagi ke liye bahut be-qarar hun main mujhe mohabbat ne masiyat ke jahannamon se bacha liya hai mujhe jawani ki tira-o-tar pastiyon se utha liya hai