raushni ki ek nannhi si lakir mere kamre ke andhere ka badan chupke chupke tatolti hai jis tarah habshi hasina ke dhale sandal ke se aabnusi jism ke aasab mein tez sui ki achanak ek chubhan sarsaraate sanp ki manind daudati hai khun jhanjhana uthte hain sare tar-o-pu aur phir aahista aahista kahin zer-e-sath-e-jaan-o-dil ye talatum ruk ke so jata hai yani azhdar-e-asuda-khatir ki tarah khwab-noshin ke udata hai maze phir bhi lekin ek ghubar-e-intizar mere kamre ki faza mein misl-e-ab-e-siyah raushan hai jaise tariki khud apni tah tak pahunchne ko bechain ho is liye raushni ki is angusht-e-be-rahm ka khair-maqdam kare azhdar-e-asuda-khatir ko jagae dard ye hai mere kamre ka andhera kabhi ek bar musakhkhar nahin ho pata naqsh-e-tarik munawwar nahin hone pata koi gosha kabhi raushan kahin gosha koi ujle kapdon ki qataron se latakte hue injir ke khoshe rakh ke dher ghalazat ke kuen sone chandi ke damakte hue phal raushni ya tez sui ya talatum jo bhi ho tum tirgi ko is tarah se munqasim tum jo kar dete ki diwaron ka rang saf khil uthta to apne ko bhi in mein munakis main dekh leta