dhire dhire gir rahi thin nakhl-e-shab se chandni ki pattiyan bahte bahte abr ka tukda kahin se aa gaya tha darmiyan milte milte rah gai thin makhmalin sabze pe do parchhaiyan jis tarah sapne ke jhule se koi andhe kuen mein ja gire na-gahan kajla gae the sharmagin aankhon ke nurani diye jis tarah shor-e-jaras se koi wamanda musafir chaunk uthe yak-ba-yak ghabra ke wo nikli thi mere bazuon ki qaid se ab sulagte rah gae the, chhin gaya tha jam bhi aur meri bebasi par hans padi thi chandni aaj tak ehsas ki chilman se uljha hai ye mubham sa sawal us ne aakhir kyun buna tha bahki nazron se hasin chahat ka jal