sham ki sidhiyan kitni kirnon ka maqtal banin baad-e-masmum ne tod kar kitne patte supurd-e-khizan kar diye bah ke mashkiza-e-abr se kitni bunden zamin ki ghiza ban gain ghair-mumkin tha un ka shumar thak gain ginne wale har ek hath ki ungliyan an-ginat kah ke aage badha waqt ka karwan an-ginat the mere zakhm-e-dil tuti kirnon, bikharte hue zard patton, barasti hui bundiyon ki tarah aur marham bhi napaid tha lekin us roz dekha jo ek tifl-e-nau-zaida ka khanda-e-zer-e-lab zakhm-e-dil mundamil ho gae sab ke sab!