tere jamal se ai aaftab-e-nankana nikhar nikhar gaya husn-e-shuur-e-rindana kuchh aise rang se chheda rabab-e-mastana ki jhumne laga ruhaniyat ka mai-khana teri sharab se madhosh ho gae mai-khwar dui mita ke hum aaghosh ho gae mai-khwar tera payam tha duba hua tabassum mein bhari thi ruh-e-latafat tere takallum mein nawa-e-haq ki kashish thi tere tarannum mein yaqin ki shama jalai shab-e-tawahhum mein dilon ko haq se ham-ahang kar diya tu ne gulon ko gundh ke yak-rang kar diya tu ne teri nawa ne diya nur aadamiyat ko mita ke rakh diya hirs-o-hawa ki zulmat ko dilon se dur kiya sim-o-zar ki raghbat ko ki pa liya tha tere dil ne haq ki daulat ko hujum-e-zulmat-e-baatil mein haq-panahi ki faqir ho ke bhi duniya mein baadshahi ki teri nigah mein quran-o-did ka aalam tera khayal tha raaz-e-hayat ka mahram har ek gul pe tapakti thi pyar ki shabnam ki bas gaya tha nazar mein bahisht ka mausam nafas nafas mein kali rang-o-bu ki dhalti thi nasim thi ki farishton ki sans chalti thi teri sharab se baba farid the sarshaar tere khulus se be-khud the sufiyan-e-kibar kahan kahan nahin pahunchi tere qadam ki bahaar tere amal ne sanware jahan ke kirdar teri nigah ne sahba-e-agahi de di bashar ke hath mein qindil-e-zindagi de di tere payam se aisi ki thi masihai tere sukhan mein habib-e-khuda ki ranai tere kalam mein gautam ka nur-e-danai tere tarane mein murli ka lahn-e-yaktai har ek nur nazar aaya tere paikar mein tamam nikhaten simti hain ek gul-e-tar mein jahan jahan bhi gaya tu ne aagahi banti andheri raat mein chahat ki raushni banti ata kiya dil-e-bedar zindagi banti fasad-o-jang ki duniya mein shanti banti bahaar aai khili pyar ki kali har su tere nafas se nasim-e-sahar chali har su raza-e-haq ko najat-e-bashar kaha tu ne tainat-e-khudi ko zarar kaha tu ne wafa-nigar ko haqiqat-nigar kaha tu ne zuhur-e-ishq ko sachchi sahar kaha tu ne jahan-e-ishq mein kuchh besh-o-kam ka farq na tha teri nigah mein dair-o-haram ka farq na tha bataya tu ne ki irfan se aashna hona kabhi na aashiq-e-duniya-e-be-wafa hona badi se sham-o-sahar jang-azma hona khuda se dur na ai banda-e-khuda hona nashe mein daulat-o-zar ke na chur ho jaana qarib aae jo duniya to dur ho jaana jo ruh ban ke sama jae har rag-o-pai mein to phir na shahd mein lazzat na saghar-e-mai mein wahi hai saz ke parde mein lahn mein lai mein usi ki zat ki parchhaiyan har ek shai mein na mauj hai na sitaron ki aab hai koi tajalliyon ke idhar aaftab hai koi abad ka nur faraham kiya sahar ke liye diya payam bahaaron ka dasht-o-dar ke liye diye jala diye tarik rahguzar ke liye jiya bashar ke liye jaan di bashar ke liye dua ye hai ki rahe ishq hashr tak tera zamin pe aam ho ye dard-e-mushtarak tera khuda kare ki zamana sune teri aawaz har ek jabin ko mayassar ho tera aks-e-niyaz jahan mein aam ho tere hi pyar ka andaz khulus-e-dil se ho puja khulus-e-dil se namaz tere payam ki barakat se nek ho jaen ye imtiyaz miten log ek ho jaen