rah gaya rah mein jab kuchh bhi na kanton ke siwa tirgi jhut ki jab chha gai sachchai par ufuq-e-zinda-o-painda-e-nankana se hans padi ek kiran waqt ki tanhai par dil ke sunsan khandar mein koi naghma jaga aankh malti hui ek subh bayaban se uthi fikr aazad hui zehn ke jale tute aur iqan ki lau sina-e-insan se uthi zahr mein dub gai thin jo zabanen yaksar un pe shirini-e-wahdat ke tarane aae jism marta hai magar ruh kahan marti hai ruh ek nur hai aur jism thirakte sae jism kanton se guzarta hai guzar jaane do ruh wo phul hai jis par na khizan aaegi ruh pi legi jo irfan-o-mohabbat ki sharab masti-o-kaif hamesha ke liye paegi pir-e-nangana teri ruh-e-sadaqat ko salam jawedan parcham-e-ulfat tera lahraata hai