hain kahte nanak shah jinhen wo pure hain aagah guru wo kaamil-e-rahbar jag mein hain yun raushan jaise nah guru maqsud murad ummid sabhi bar late hain dil-khwah guru nit lutf-o-karam se karte hain hum logon ka nirbah guru is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru har aan dilon wich yan apne jo dhyan guru ka dharte hain aur sewak ho kar un ke hi har surat beach kahate hain gird apni lutf-o-inayat se sukh chain unhen dikhlate hain khush rakhte hain har haal unhen sab man ka kaj banate hain is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru din raat jinhon ne yan dil wich hai yaad guru se kaam liya sab man ke maqsad bhar pae khush-waqti ka hangam liya dukh dard mein apne dhyan laga jis waqt guru ka nam liya pal beach guru ne aan unhen khush-haal kiya aur tham liya is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru altaf jinhon par hain un ke so khubi hasil hai un ko har aan 'nazir' ab yan tum bhi to baba nanak shah kaho is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru