main ne ye kaha kab ki manane ke liye aa mujh kath ke ullu ko phansane ke liye aa mere liye aa aur na zamane ke liye aa bachche ko faqat dudh pilane ke liye aa har roz wahi gosht wahi gosht wahi gosht ek din to kabhi dal pakane ke liye aa jo husn jawanon ke liye waqf hai us ko ek bar to budhon ko dikhane ke liye aa din mein kabhi hathon ki safai se girah kat shab mein kabhi saman churane ke liye aa us hur ko dekha to ye kahne laga har shakhs aa aa mujhe langur banane ke liye aa wo shaikh ki jis ki koi line hi nahin hai us ko zara line pe lagane ke liye aa farsuda tasawwur ke makodon ko masal de ulfat ko udhar phenk kamane ke liye aa