sunahre khwabon ki wadi mein muddaton hum ne kai makan basae kai makin badle tamam umr raha intizar ka aalam guzarte lamhon ka matam kiya nidhaal rahe na doston mein koi ab na dushmanon mein koi hamare mazi ka hum se hisab le kar jo hamare sud-o-ziyan ka laga ke andaza hamein batae ki kya khoya hum ne kya paya bas ek waqt ki thokar ba-shakl-e-sham-o-sahar hamare panw mein lag lag ke puchhti hai roz kahan se aae ho kab tak chaloge tum yunhi jawab is ka bhi hai us ke pas hi lekin sawal karne ki aadat si pad gai hai use