alag duniya ki caron se mughal ki car hai pyare suna hai pichhle das salon se ye bimar hai pyare zamane ke liye ibrat ka ek shahkar hai pyare mughal ke waste ek mustaqil aazar hai pyare kisi bhi car se zinhaar chaal is ki nahin milti ye wo shai hai ki duniya mein misal is ki nahin milti kai farlang tak dhakka lagate hain to chalti hai pasina chaar chhe sathi bahate hain to chalti hai sahar se sham tak haindle ghumate hain to chalti hai sar us ke samne apna jhukate hain to chalti hai taras kha kar mughal par jab bhi ye aati hai harakat mein yaqin karna hi padta hai badi taqat hai qudrat mein ye chalti hai to shofar ko bhala kab hosh rahta hai har ek rahgir ta-hadd-e-nazar ru-posh rahta hai jahan bhi us ka jo purza hai wo pur-josh rahta hai magar ek horn hai kam-bakht jo khamosh rahta hai koi ab us ki fitrat ka lagae khak andaza gear us ka badalte hain to khul jata hai darwaza karen rewers to afsos ye aage ko chalti hai dabaate hain clutch is ka to batti is ki jalti hai agar multan jaana ho to bhakkar ja nikalti hai jo pahiyon ke tale inten rakhen ye tab sambhalti hai mughal gadi ke har ek wasf ka idrak rakhte hain jabhi to car mein inton ka wo stock rakhte hain hain is mein jis qadar seaten wo springon se khali hain guman hota hai aasar-e-qadima se nikali hain hujum-e-dostan ne dhajjiyan is ki uda li hain wo har ek baithne wale se kapde ki sawali hain pareshan us ka shiraaza har ek kal us ki be-kal hai ye wo gadi hai jo fankar ki takhliq-e-awwal hai ise raste mein bas taqdir hi roke to rukti hai mughal ki aah par tasir hi roke to rukti hai hamara nala-e-dil-gir hi roke to rukti hai wagarna phir koi khinzir hi roke to rukti hai mere yaro jahan ye jaanwar kam-paya jata khuda jaane wahan kaise ise thahraya jata