ziya-e-raaz ko aakash mein talash na kar ki ye hai ruh ki gahraiyon mein rakhshanda hamari ruh mein aakash hai jo tabinda wishaal jhil hai nirmal hai jis ka chanchal jal khile hue hain haqiqat ke jis mein nil-kamal dil-e-wajud ka dark-e-darun hai rah-e-najat kamal-e-ishq hai bezar rang-e-zahir se majaz-o-saz niyaz-o-gudaz kya jaane rusum-e-sath se raaz-e-baqa nahin khulta qamis dhone se insan ka dil nahin dhulta