wo ek lamha jo sach bolne se darta hai jo zulm sahta hai jabr ikhtiyar karta hai wo lamha maut ki wadi mein ja utarta hai magar jo bar-e-sadaqat utha ke zinda hai sitamgaron ke sitam aazma ke zinda hai wo lamha apne lahu mein naha ke zinda hai wo ek lamha ki tarikh jis se raushan hai mata-e-khak usi ke lahu ka khirman hai dawam-e-fasl-e-bahaaran sabaat-e-gulshan hai wo ek lamha hazaron baras pe ghaalib hai jo aadmi ke liye azmaton ka talib hai wo ek lamha nahin hai 'habib-jalib' hai