to phir yun hua hum shikasta-dilon ne sipar dal di jitne nawak-ba-dast apne ahbab koh-e-wafa par khade the hamein un sabhi ki jigar-dariyon be-gharaz juraton par mukammal yaqin tha magar jaan-nisari ke is marke mein saf-e-ham-rahan ko palat kar jo dekha to koi nahin tha sabhi nargha-e-dushmanan mein khade the hujum-e-kashida-saran pa-ba-zanjir zer-e-nagin tha so phir yun hua maqtalon ki taraf jab rawana hue hum to sari jabinon pe nangi khajalat barahna nadamat ke qatre jude the hum andhe sarabon ke la-muntaha silsilon mein khade the hazar saaton thartharaate labon par faqat khamushi thi sitam taziyanon ke qatil pharere fasil-e-zaban-o-dahan par gade the wo mausam kade the to phir yun hua hum darida-badan dashna-e-qatilan ka hadaf ban gae qatra qatra hamara chamakta gae shahr-e-mehrban ke dar-o-baam par jagmagane lage tisri aankh ka nama-bar hum ko muzhda sunane laga