khu-e-azad jis ne pai hai us ke qabze mein kul khudai hai un se main bhi ye baat kahta hun jin ki taqdir mein burai hai apne mazi pe dal lo nazren kis qadar kis ne ki bhalai hai baat aai zaban pe kahta hun ye to bandon hi ki khudai hai rok kar gala kar rahe hain black qaht ki har taraf dahai hai kitne theke mein ab ki bar bache kitni rishwat ki daulat aai hai apne apnon ko puchhta hai har ek ahl-e-taqat hi ki ban aai hai gar minister hai aap ka sala to collector bana jamai hai hai jo engineer sifarish se phir to theke mein is ka bhai hai khauf hai kis ka raj hai apna apna hi sara aana-pai hai rozi aur rozgar hain un ke hum gharibon ka haq gadai hai in ka zariya hai ye kamane ka dekhne hi ki parsai hai kis se ja kar 'kanwal' kare fariyaad hae bapu teri duhai hai aaj phir se august aaya hai sab ke ghar mein khushi hi chhai hai sal-e-ainda ke kamane ko tum ne scheme kya banai hai