gila hai kam-nigahi ko mein kaamgar nahin hanuz nudrat-e-kirdar aashkar nahin mera wo soz hai na-mahramon mein be-tabir mah-o-sitara ko jis ke liye qarar nahin mera sukut jawab aaina hai un ke liye wo jin ki rae mein diwana honhaar nahin nahin hai koi darakhshanda barq jis ki misal mushabah jis ke koi guhar-e-abdar nahin saza-e-khwesh hai khud sath-e-chashm-e-zahir mein jise maani-e-shair pe e'tibar nahin sabab hain aur bhi lekin ba-juz do-harf jawab ada-e-zail se maqsud zinhaar nahin tumhin kaho hai mera kaun sa karam-farma ki jis ki khatir-e-bargashta mein ghubar nahin ho shad-kaami-e-gul-gasht-e-zarf shair kya musaf-e-shahr charagah-o-chashma-saz nahin shaguft-e-taba ke saman-o-saz hain napaid saba nahin chamanistan nahin bahaar nahin masham-e-naghma hai aazurda chahchahe khamosh nawa-e-ghuncha nahin nikhat-e-hazar nahin nahin bat-e-mai-e-saqi na barbat-e-mutrib bisat-e-gul nahin aaghosh-e-gul-ezar nahin muhit-e-ghurbat-e-baalin hai khanuman-sozi koi habib nahin koi gham-gusar nahin mere kamal ki zamin hai khud ye qismat-e-gham khusha main khasta-e-gham to hun sogwar nahin