main jahan paida hua parwarish paya badha aur jis ja aaj hun un sabhi jaghon ka mausam mo'tadil fayyaz mukhlis mehrban jo tapane ya jamane ke amal se na-balad khak ke zarron ko bhobhal bante main ne aaj tak dekha nahin aur dariyaon ko rah-e-barf mein tabdil hote bhi na dekha tajrabe mitti ke londe gol chikne aur sapat nok hai un mein na dhaar aur na chubhne ki sakat ek aadat ek riwayat ek riwaj kya mere bahar ka mausam aur kya mera mizaj!