apni aur 'qayyum-rahi' ki man ki maut par sitare chup hain kisi bewa mang ki manind bujha bujha hai sar-e-sham chand ka jhumar damakti rahon ke dhundla gae hain aaine utar chuka hai khalaon mein raushni ka nagar muhib-o-sarw-o-siyah hath badhte jate hain khinche hue hain fazaon mein aatishin khanjar farishte rote hain apne paron ko phailae khizan ke nachte patton ki matami lai par hawaen deti hain dastak mere darichon par mujhe ye dar hai na bujh jae teri sham-e-hayat chal ab ki chal ke muqaffal karen ye darwaze tujhe na chhin len mujh se mere raqib auqat na jaane kya mere allah hone wala hai muhib saya andhere mein thartharaata hai badha ke hath ye darwaza kis ne khol diya ye teri samt dabe panw kaun aata hai ye kis ne banhon mein ghabra ke bhar liya tujh ko ki jaise dew ho shahzade ke fasanon ka faza pe phunk gaya padh ke maut ka afsun har ek shai hai yahan teri tarah marg-asa phir is tarah se tera paikar-e-nahif uda ki jaise gard koi aandhiyon ke sath chale bhatakti rah gai andhiyaron mein meri aawaz charagh-e-qabr ki manind main ne hath male har ek shahr mein tanha gali gali tanha main phir raha hun tere gham ki lash uthae hue khizan ke waqt koi jaise barg-e-awara rawish rawish pe khud apne hi madfanon ko gine