donon mashkize laba-lab ek chumbak ki tarah apni jaanib khinchte rahte use fil-bandi qahr thi mard gahak maskhari karte hue darte zara mohtat rahte jhurjhuri ka swang bharte aurten maghmum aankhon mein taras kadhe hue apne bachchon par baras padtin agar wo bad-lihaz bholpan se puchh lete kyun nahin us ke falanon ki tarah un ke falane kyun nahin wo khudai farsh par ukdun kabhi gautam ke aasan mein kabhi tahmad se bahar panw phaila ke akad kar baithta bar bar is waste pahlu badalta jugal-gari karta ki pairon mein hamesha jhunjhuni ke jhunjhune bajte ajab ek mustaqil si bekali rahti wo ghubare phate padte the jin par tant si nili ragen phuli hui nanhe-munne kechuon ki tarah kundli mar ke baithi hui thin jis tarah kangha chhupane ke liye us ne sir-sayyad ki dadhi hu-ba-hu pile tarbuz par us ki lungi mez-posh aisi padi rahti is maraz ka faeda itna hua apni chauki se faraghat pa gaya ye ki raddi phad kar apne thaile apni godi mein samete wo unhi par sari pudyaen banata laung dhaniya dar-chini jae-phal aur tej-pat sab masale us ki ranon ke maze chakhe hue the ghibati jal-kukde aise the ki bas saf kahte is ne kabe ki ziyarat hi nahin ki hai faqat ajmer ja kar laut aaya balki ye bhi mushtaba is pahadi se utarna dusri ka qasd karna hajiyon ki dhinga-mushti lapa-dagi rel-pel phir gunahon ke pitare ki tarah latki hui faltu gathri alag us ki haalat ghair thi haj to mumkin hi nahin jitne hasid utni baaten ek roz wo ulahnon se nidhaal maut ki banhon mein banhen dal ke apne aaqa ki taraf apne raaz apne mafailun uthae chal pada kisi mulk mein ek tha baadshah hamara tumhaara khuda baadshah