chalte hue is pagdandi par jab samne ped aa jate the hota hai guman had aa pahunchi kahte the qadam ab laut chalo ab laut chalo us rah pe jis se aae the kuchh dur pe ja kar lekin ye mud jati thi pedon ki safon mein tezi se ghus jati thi bikhre hue patte os mein tar chhanti hui kirnon ka sona chup-chap fazaon ki khushbu nagah kisi tair ke paron ki ghabrahat hum aa gae in maidanon mein phaile hue maidan aur ufuq ki pahnai ab aao yahan se ghar loten chalte hue is pagdandi par