shishe ke badan mein rahta hun main aaj hun mere aage pichhe kal hain phir bhi tan-e-tanha hun hamila mitti ke upar sine ke bal leta hun sar aur pair tasadum mein hain tariki ke pichhe bhag raha hun kachchi maut ke baad junhi zinda hota hun mere sirhane nai naweli dulhan dhup dahak uthti hai sar aur pair tasadum mein haq-e-zaujiyat mathe par subh sawere kalima padh ke nahana fasl ke pak jaane tak khet ko pani dete jaana main ne yahi suna hai hamila mitti ke upar sine ke bal leta hun bail hun pathrili kheti mein hanp gaya hun hal tedha hai khassi bailon ki sab jodiyan pathrile kheton mein hanp chuki hain bij bikherne ke aasan bhi badal chuke hain jaane paidaish ka lamha kab aaega majburi ke pichhe sarpat bhag raha hun phike mausamon aur waqton ki umr badi hai hanp gaya hun