sarfaroshan-e-watan ka ye khayal achchha hai hind ke waste marne ka maal achchha hai jazba-e-hubb-e-watan ho na agar dil mein nihan aise jine se to marne ka khayal achchha hai zarra-e-khak-e-watan mehr-e-darakhshan hai mujhe wo samajhte rahen england ka mal achchha hai jaan-ba-lab hai sitam-ijad ke hathon se watan kaun kahta hai mere hind ka haal achchha hai un ko paris ke nazaron pe fida hone do mujh ko bhaarat ke liye ranj-o-malal achchha hai karne deta nahin jallad zaban se uf tak dil mein kahta hai gharibon ka sawal achchha hai lajpat-rae ki shamshan se aati hai sada mulk ki rah mein mitne ka khayal achchha hai apne matlab ke liye mulk ka dushman jo bane aise kambakht ka duniya mein zawal achchha hai zar ke thaalon mein mutton chap udane do unhen hum gharibon ko magar jam-e-sifal achchha hai 'aftab' aaj phansa jata hai phir tair-e-dil hae afsos ki sayyaad ka jal achchha hai